Sunday, June 22, 2008

You Will Be In My Thoughts..

Should you ever feel alone
If finding times hard to bare
You can still count on me
Know I shall always be there

You shall be in my thoughts
If you are hurting, I feel it too
It is my friendship sincerity
I shall forever share with you

There each step of the way
My support you can depend
I will listen if you need me
With love your forever friend....

Fazaa bhi hai jawan jawan

fazaa bhi hai jawan jawan
hawa bhi hai ravaan ravaan
sunaa rahaa hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan


pukaar te hain door se
vo kaafile bahaar ke
bikhar gaye hain rang se
kisi ke intezar ke
Lahar lahar ke honth par
wafa ki hain kahaaniyaan
sunaa rahaa hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan


bujhii magar bujhii nahin
na jaane kaisi pyaas hai
qaraar dil se aaj bhi
na duur hai na paas hai
ye khel dhoop chhaaon ka
ye qurbaten ye dooriyaan
sunaa rahaa hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan


har ek pal ko dhoondhataa
har ek pal chala gaya
har ek pal firaaq ka,
har ek pal visaal ka
har ek pal guzar gaya
banaake dil pe ek nishaan
sunaa rahaa hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan
hawa bhi hai ravaan ravaan
sunaa rahaa hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan

wohi ghari wohi paher
wohi hawa wohi laher
nayi hain manzilen magar
wohi safar wohi dagar
nazar gayi jidhar jidhar
mili wohi nishaaniyaan
sunaa rahaa hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan
hawa bhi hai ravaan ravaan
suna raha hai ye samaa
suni suni si daastaan....
fazaa bhi hai jawan jawan