Thursday, July 31, 2008

Insaan sa kyon hai ...

yeh sheher agar sheher hai to sunsan sa kyon hai
is sheher ka har shakhs pareshan sa kyon hai
is sheher ke log jise kehte hain masiha
woh shakhs mere dard se anjaan sa kyon hai
mitti se bana hai to mera kyon nahi ho jata
agar pather ka sanam hai to insaan sa kyon hai ...

Dost kahkar dost se daga kar baitha..

Dost kahkar dost se daga kar baitha
Wo aaj ek aisi khata kar baitha..

Kehta tha ke tuje kabhi hum khafa hone na denge
Fir wo khud hi hume khafa kar baitha..

Aadat thi use sabki ghamo ko dur karne ki lekin
Humare liye hi wo ghumo ki dua kar baitha..

Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta..

Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta..
Iska matlab ye nahi ke main us se pyaar nahi karta...

Chahta hu main use aaj bhi..
Par uski soch mein apna waqt bekaar nahi karta...

Tamasha na ban jaye kahin mohabbat meri..
Isliye apne dard ka izhaar nahi karta...

Jo kuch mila hai usi mein khush hu main..
Uske liye khuda se taqrar nahi karta...

Par kuch to baat hai uski baaton mein..
Varna use chahne ki khata baar baar nahi karta....